WOH humse ghaflat-o-nafrat kare

October 15, 2016

poetry 

WOH humse ghaflat-o-nafrat kare, bakhair kare,
Usi se hai USEY ulfat, ke jisse bair kare;

Meri nazar mein TERI har adaa niraali hai,
TU mujhse pyaar kare yaa ki mujhse bair kare;

WOH tegh-e-shauq-o-jalaali ko haath mein le jab,
Fidaa-e-jaan ba-shahadat kyun koi ghair kare!

Bichaa hua hun main raaho mein UNKI Isliye ab,
Inaayatein mere seene pe UNKA pair kare;

TERE tabassum-e-dilgeer Ke deewaano ki,
KHUDA hi Khair kare khair kare khair kare;

Humaare dil ki tamanna hai aakhri itni,
TUMHAARI ZULFON mein uljhe, unhi mein sayr kare;

Mazaa kya aaye tarannum mein saaz goyi mein,
Jo soz-e-zeest-e-*hussaini* ke hi Baghair kare;

Comments

comments powered by Disqus