Soz-e-hasti jaam-e-masti

October 15, 2016

poetry 

Soz e hasti jaam e masti chahiye jo lijiye,
Aaj sauda muft ka hai, lena hai so lijiye;

Yeh samandar ishq ka hai qatra qatra zehr hai,
Ab to mitna tay shuda hai, so befikr ho lijiye;

Ab ki saawan abr-e-rahmat UNKA barsega bahot,
jo rahe shadaab har dam fasl woh bo lijiye;

phir mile ya na mile yeh qurb ki khaamosh raat, aaj to baahon mein meri chain se so lijiye;

chhup ke, tak ke, door rehke, phir bhi main bach na saka,
In nasheeli aankhon mein ab mai gaya kho, lijiye;

zulm ki yeh intiha hai, hai magar thodi kasar; Haal e aashiq par zara sa muskura to lijiye;

ek ishaara karke WOH jo chup gaye nazron se aaj,
aankh ko tauba ki khaatir ashq se dho lijiye;

Beeti baaton pe tumhaare itne aansu beh gaye,
Aye *hussaini* aaj kuch paane ko bhi ro lijiye;

Comments

comments powered by Disqus