AashiqoN ko tadhpaana

October 15, 2016

poetry 


Aashiqon ko tadpaana, chodkar guzar jaana,
UNPE hi to sajta hai yeh hunar, 'guzar jaana';

waqt ki rawaani bhi UNSE faiz paati hai,
UNSE hi toh seekha hai, bekhabar guzar jaana;

Benaqaab kar chehra, raaz yeh bata jaana,
Kya wajood hai mera boojhkar guzar jaana;

yeh bhi kaisi shamma hai, woh bhi kaisa parwaana?
shab ko dilbari karna, aur sahar guzar jaana;

UNKA hi tha uksaana, warna ghair mumkin tha,
wasl mein mera had se, iss qadar guzar jaana;

koste hain hum apna, karwatein badal lena,
yaad reh gaya TERA, HUMSAFAR guzar jaana;

KHIZR ki kareemi hai ya karam hai posheeda?
toote dil ko mere kar, reh guzar guzar jaana;

Ek taraf hai dil apna, EK SANAM ka butkhaana,
ek taraf hai UNKA yun mukhtasar guzar jaana;

AAPKE karam se hai, raasta har ek aasaan,
AAPNE hi sikhlaaya, bekhatar guzar jaana;

Bas TERI muhabbat ne hausla yeh bakhsha hai,
aag ka bhi dariya ho, doobkar guzar jaana;

Main TERA hi banda hun, main TERA *hussaini* hun,
TU kabhi na ab mujhko, chod kar guzar jaana!!

Comments

comments powered by Disqus